المدة الزمنية 6:7

Breathless | Shankar Mahadevan [Full Version] Lyrics

بواسطة Lyrics Bhau
34 858 592 مشاهدة
0
489.4 K
تم نشره في 2019/10/29

Request 🙏 Hello, Guys Main is channel par kuch new upload karne ka try kar raha hun to please comment karke batana ki jo new video upload ki Hain wo aapko kaisi lagi aur koi new topic jo aapko pasand ho to wo bhi suggest karna? actually YouTube ki new policy ke according main lyrics songs upload nahi kar paa Raha hun. please comments karke jaroor batana. 🙏 /watch/82qQiT01uFy1Q Breathless | Shankar Mahadevan [Full Version] Lyrics Lyrics Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha jaise meri saari duniya main geeton ki rut aur rangon ki barkha hai khushbu ki aandhi hai bahki hui si ab saari fizaayen hain mahki hui si ab saari hawaayen hain khoyi hui si ab saari dishaayen hain badli hui se ab saari adaayen hain jaagi ummengein hain, dhadak raha hai dil saason main toofaan hain, hoton pe nagme hain aakhon main sapne hain, sapnon main beete hue saare vo lamhe hain jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe kaise use paaya tha, pyaare se chehre pe bikhri jo julphen to aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe ek os main dhula hua phool khila hai jaise badal main ik chaand chhupa hai aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main ek savera hai roshan roshan aakhon main sapnon ka saagar jismain prem sitaron ki chaadar jaise jhalak rahi hai lahron lahron baat kare to jaise moti barse jaise kahin chandi ki payal goonjey jaise kahin sheeshe ke jaam girey aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye jaise koi chaandni raat main gaye jaise koi hole se paas bulaye kaisi meethi baatain thee vo kaisi mulakaatein thee vo jab maine jaana tha nazron se kaise pighalte hain dil aur aarzoo paati hai kaise manzil aur kaise utarta hai chaand jameen par kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahin par usne banaya mujhe, aur samjhaya mujhe hum jo mile hain, hamain aise hi milna tha gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hain jab bhi hum janme to hum yahin milte hain kaanon main mere jaise, shahed sa ghulne lage khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri hosh jo aaya mujhe maine dekha maine jaana vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha dil main samaya tha, ja bhi chuka hai aur dil mera ab hai tanha tanha na to koi armaan hai, na koi tamanna hai aur na koi sapna hai ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain unmain sirf aansoon hain unmain seif dard ki ranj ki batain hain aur pharyaadein hain mera ab bhi koi nahi main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain (3) ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain unmein sirf aasun hain unmein sirf dard ki ranj ki baatein aur faryadein hain mera ab koi nahin main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein doob gaya hai dil gham ke andhare main meri saari duniya hai dard ke ghere main mere saare geet dhale aahon main banke deewana ab yahan wahan firta hoon thokar khata hoon un rahaon main jahan use dekha tha jahan use chaha tha jahan main hasa tha aur badmein roya tha jahan use paya tha pake khoya tha jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the rangeen rangeen mehki rut main har ek kadam pe ras rachaye the gulshan gulshan din main ujale the jag mag jag mag noor tha raaton main jhil mil jhil mil jahan maine khabon ki dekhi thi manjil jahan meri kashti ne paya tha sahil jahan maine payai palkhon ke chhav jahan meri bahon main nikhalti kisi ki mari mari bahein jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein jahan kal narmi narmi hi thi pyar hi payaar hi tha hathon haththe jahan kal gaye the prem tarane jahan kal dekhe the sapne sunahne kisi ko sunaye the dil ke fasane jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme todi thi duniya ki saari rasmein jahan kal barsa tha prit ka badal jahan maine thama tha koi aachal jahan pehli baar mein hua tha pagal ab uun rahon mein koi nahi hai ab hai woh rahe viran viran dil bhi jaise hairan hairan jaane kaha gaya mera sapno ka mela aise hoi khayalo mein khoya khoya ghum raha tha mein kabse akela chamka sitara jaise koi gagan mein gunji ghata mere ghar aangan mein kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha maine mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe jise maine chaha tha jise maine puja tha lot ke aaya hai thoda sharminda thoda ghabraya hai zulf pareshan kapte hout aur bheegi hui ankhen dekh raha mujhe gum sum gum sum uski nazar jaise puch rahi hai itna toh bata do kahi khafa toh nahi tum pyaar jo dakhi phir meri nigahoon mein agle hi pal tha woh meri inn bahon mein bhool gaya mera dil jaise har gham badal gaya jaise duniya ka mausam jhome nazare aur jhumi fizaien aur jhome the mann aur jhumi hawaein jaise phir gaane lagi saari dishayen kitni hasi hai kitni suhani hum dono ki prem kahani... #Breathless #Shankar_Mahadevan #LyricsBhau

الفئة

عرض المزيد

تعليقات - 12683