المدة الزمنية 3:47

Rooh Kayse Nikalti hia | Nafarman Rooh Kaise Nikalti Hai

بواسطة Pyaara Islam
106 493 مشاهدة
0
2.3 K
تم نشره في 2018/12/07

Rooh Kayse Nikalti hia? Eman afroz video. Nafarman Rooh Kaise Nikalti Hai aysi video jo such main ap sub ke leay Hadiyat ke leay kafi hia. Nek Rooh ke sath kya Mamla hota hia. Everyone want to know What Happens When You Die In Urdu Hindi today this video show you real face after death in Urdu Hindi. Jab rooh nikalti hai to insaan ka mun khil jata hai hont kisi tor bhi aapas mein miley nahi reh satke, rooh peeron se khinchti hui oopar ki taraf aati hai jab phibray aur dil tak rooh khech li jati hai aur insaan ki saans aik hi taraf yani bahar ki taraf chalne lagti hai to yahi woh waqt hota hai jab chand lamhoon mein insaan shetan aur firshton ko duniya mein Apne samnay daikhta hai aik taraf iblees is ke kaan mein –apne mashwaray deta hai aur doosri taraf is ki zabaan is ke aamaal ke mutabiq kuch alfaaz ada karna chahti hai agar insaan naik ho to is ka dimagh is ki zabaan ko kalma shahadat ki hadaayat deta hai aur agar insaan kafir ho be deen, mushriq ya dunia parast ho to is ka dimagh aik ajeeb hebat ka shikaar ho jata he aur woh shetan ke mashwaray ki pairwi karta hai, woh bohat hi mushkil se kuch alfaaz zabaan se ada karne ki koshish karta hai. Yeh sab itni taizi se hota hai ke dimagh ko duniya ki fuzool baton ko sochnay ka mauqa hi nahi milta, insaan ki rooh nikaltay hue aik zabardast takleef mehsoos karti hai lekin insaan tarap nahi paata kyunkay dimagh ko chore kar baqi jism ki rooh is ke halaq mein ataaq jati hai aur jism aik gosht ke be jaan lotharay ki terhan para sun-hwa hota hai jis mein koi harkat nahi reheti blaakhr dimagh ki rooh bhi khech li jati hai ankhen rooh ko le jatay huve firshton ko dekhatii hain, aankhon ki ptlyan oopar charh jati hain, is ke baad insaan ki aalam barzakh ki zindagi ka safar shuru hota hai jis mein rooh tklifon ke teh khaanoon se le kar araam tak ke mehlaat ki ahat mehsoos karne lagti hai jaissa ke is se wada kya gaya hai jo duniya se gaya wapas kabhi nahi lota sirf is liye ke is ki rooh aalam barzakh ka intzaar kar rhi hoti hai jis mein is ka thikana day diya jata hai. For more Videos Subscribe our channel Join us: https://www.facebook.com/pg/pyaaaraislam/ Join us https://twitter.com/PyaaaraIslam Website: http://pyaaaraislam.com/ Youtube: /channel/UC7U3MBRht4dpX4x2c9a-XwQ

الفئة

عرض المزيد

تعليقات - 140